husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

JK Blogger
0

Poem by Ghalib

husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai


bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh

jī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai


aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā

sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai


be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā hai

vo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai


un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq

vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai


dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz

ik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai


ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā

jis tarah kā ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai


qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.e

kaam achchhā hai vo jis kā ki ma.aal achchhā hai


ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz

shaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai


ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin

dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai

— Ghalib

Post a Comment

0 Comments
Post a Comment (0)
To Top